zabt-e-ġham par zavāl kyoñ aayā
shiddatoñ meñ ubaal kyoñ aayā
gul se khilvāḌ kar rahī thī havā
dil ko terā ḳhayāl kyoñ aayā
ishq to hijr keī alāmat hai
vasl kā phir savāl kyoñ aayā
aisā badlī ne kyā kiyā āḳhir
sūraj itnā niDhāl kyoñ aayā
suunī āñkhoñ meñ kyā milā tum ko
jhiil jaisā ḳhayāl kyoñ aayā
umr bhar ā.īne pe rakhī nazar
aks meñ phir ye baal kyoñ aayā
yūñhī pāgal havā ke chhūne se
tujh meñ dariyā uchhāl kyoñ aayā
ishq tum ko nahīñ huā to kaho
shā.irī meñ kamāl kyoñ aayā