yaar kahta hai tajalli-e-laqa thi main na tha
tur-e-sina par vahi jalva-numa thi main na tha
gumbad-e-aflak par jis ka hua akasr guzar
vo dil-e-bimar-e-gham ki ik dua thi main na tha
har taraf thi alam-e-imkan men jo phaili hui
mere asrar-e-haqiqat ki ziya thi main na tha
misl-e-bu-e-gul tire kuche men tha jis ka guzar
ai sanam vo meri jan-e-mubtala thi main na tha
bostan men talib-e-didar thi jo aap ki
vo gul-e-nargis ki chashm-e-ba-ziya thi main na tha
ba.ad-e-murdan qabr men mujh ko sula kar ye kaha
dard tha betabiyan thiin aur qaza thi main na tha
ik jhalak dikhla ke apni kis ada se kah gaya
jis ko dekha vo bhi shan-e-kibriya thi main na tha
jis ne chuma vaqt-e-pamali qudum-e-naz ko
ḳhun-e-dil ba-shoḳhi-e-rang-e-hina thi main na tha
darguzar kar aa.ine se aap ne moḌa hai munh
is men meri hasrat-e-hairat-faza thi main na tha
zari-o-shevan hamari kab suni hain aap ne
bostan men bulbul-e-naghma-sara thi main na tha
uḌ ke jo pahunchi saba ke saath galiyon men tiri
musht-e-ḳhak-e-kushta-e-tegh-e-ada thi main na tha
dekh kar un ko jo main fart-e-masarrat se mara
vo lage kahne ki ye us ki qaza thi main na tha
tha main tasvir-e-ḳhyali hasti-e-mauhum men
vo bhi shan-e-ishq-e-shah-e-do-sra thi main na tha
ai ‘jamila’ bostan-e-ishq men vaqt-e-sahar
nik.hat-e-gul si jo pahunchi vo saba thi main na tha
Leave a Reply