• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Ruh Labon Tak Aa Kar Soche

Ruh Labon Tak Aa Kar Soche

ahmad-nadeem-qasmi

ruuh labon tak aa kar soche kaise chhodun qarya-e-jan

yusuf qasr-e-shahi men bhi kab bhula kanan ki galiyan

maut qarib aai to duniya kitni muqaddas lagti hai

kahish-e-dil bhi khvahish-e-dil hai afat-e-jan bhi rahat-e-jan

meri vahshat ko to bahut thi gosha-e-chashm-e-yar ki sair

yuun to adam men vusat hogi arsh-ba-arsh karan-ba-karan

ghunche ab tak rang bhare hain ab tak hont umang-bhare

tuti-phuti qabron se hain pathrai ankhen nigaran

sirf ik nigah-e-garm se tuten shoalon men parvan chadhen

haae ye nazuk nazuk rishte haae ye bazm-e-shish-garan

dasht-o-daman men koh kamar men bikhre hue hain phuul hi phuul

ru-e-nigar-e-giti par hain sabt mire boson ke nishan

aankh ki ik jhapki men biita kitne baras ka qurb-e-jamal

ishq ke ik pal men guzre hain kitne qaran kitni sadiyan

saari duniya mera kaaba sab insan mere mahbub

dushman bhi do ek the lekin dushman bhi to the insan

dard-e-hayat kahin ab ja kar banne laga tha husn-e-hayat

kis ko khabar thi mahv rahegi qat-e-safar men umr-e-ravan

jannat ki yakh-bastagyon ko garmaega us ka khayal

subh-e-abad tak jami rahe ye anjuman-e-atish-e-nafasan

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Teri Nazron Se Yar Utar Jaun

Apni Jannat Mujhe Dikhla Na Saka Tu Waiz

ahmad-tariq

dar Ke Baitha Hun Sar-Nigun Wahshat

Munh Dekha Kiye Hum Aaine Ka

Sari Tartib-E-Zamani Meri Dekhi Hui Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet