ḳhvab to ḳhvab hain ta.abir badal kar dekhun
us paheli ko zara main bhi to hal kar dekhun
apne chehre ki lakiron se pareshan nahin
zaḳhm taaza hai so a.ina sambhal kar dekhun
rang aur nuur se hairan hain ankhen meri
un manazir ko zara duur se chal kar dekhun
in fazaon men bikhar ja.un main ḳhushbu ki tarah
is chaman-zar se bahar bhi nikal kar dekhun
ab miri raa.e se tu itna bhi hairan na ho
zaviya hai to na kyuun is ko badal kar dekhun
Leave a Reply