koi qusur nahin meri ḳhush-gumani ka
asar hai ye tiri ankhon ki be-zabani ka
kisi ne meri mohabbat ko kar liya mahfuz
ḳhayal aaya kisi ko to pasbani ka
bara.e naam sa pul bhi nahin bana mujh se
ki kuchh ilaaj nahin tha tiri ravani ka
hamare dil ka alamnak daur hai shayad
samajh rahe hain jise khel sab javani ka
vo dastan mukammal kare to achchha hai
mujhe mila hai zara sa sira kahani ka
Leave a Reply