ham to karbal ko hi bas dar-e-baqa kahte hain
us ki miTTi ko suno ḳhak-e-shifa kahte hain
ye to bas mujh se hi ho jaati hai ghaflat aksar
jo bhi kahte hain baḌe mere baja kahte hain
phenki lakḌi to kabhi rasta kabhi saanp bana
us ko lakḌi nahin muusa ka asa kahte hain
main saza lafz ki tarif batata huun suno
muntazir hone ko bhi jaan saza kahte hain
bhuuk marte hue bachchon ko jo khana la de
us masiha ko hi farzand-e-ḳhuda kahte hain
kitne saada hain makin yaar tiri basti ke
zahr ke jaam ko bhi ab-e-baqa kahte hain
shams tabrez se apni hai aqidat itni
ham qalandar ko tabhi shams-numa kahte hain
jo tiri yaad men har raat bapa hoti hai
aisi mahfil ko ‘sahar’ bazm-e-aza kahte hain
Leave a Reply