pa-ba-zanjir sahi zamzama-khvan hain ham log
mahfil-e-vaqt tiri ruh-e-ravan hain ham log
dosh par bar-e-shab-e-gham liye gul ki manind
kaun samjhe ki mohabbat ki zaban hain ham log
khuub paaya hai sila teri parastari ka
dekh ai subh-e-tarab aaj kahan hain ham log
ik mata-e-dil-o-jan paas thi so haar chuke
haae ye vaqt ki ab khud pe garan hain ham log
nikhat-e-gul ki tarah naaz se chalne vaalo
ham bhi kahte the ki asuda-e-jan hain ham log
koi batlae ki kaise ye khabar aam karen
dhundti hai jise duniya vo nishan hain ham log
qismat-e-shab-zadagan jaag hi jaegi ‘alim’
jaras-e-qafila-e-khush-khabran hain ham log
Leave a Reply