ye manta huun ki sau baar jhuuT kahta hai
magar ye sach hai vo tum se hi pyaar karta hai
are vo hoga munafiq tumhara yaar nahin
har ek baat pe jo haan men haan milata hai
kahun main achchha bura ya karun koi bakvas
mira ḳhuda hi to har baat meri sunta hai
muashare ka baḌa ek alamiya ye hai
yahan pe jurm ziyada farogh paata hai
tumhen zamin ka havala to raas aaya nahin
vo asman bhala kis ne ja ke dekha hai
main us ke hone pe kamil yaqin rakhta huun
mire yaqin pe vo bhi yaqin rakhta hai
ai meri huur tira intizar hai ab bhi
tira ‘vaqar’ abhi teri raah takta hai
Leave a Reply