vaise hi khayal aa gaya hai
ya dil men malal aa gaya hai
aansu jo ruka vo kisht-e-jan men
barish ki misal aa gaya hai
gham ko na ziyan kaho ki dil men
ik sahib-e-hal aa gaya hai
jugnu hi sahi fasil-e-shab men
aina-khisal aa gaya hai
aa dekh ki mere ansuon men
ye kis ka jamal aa gaya hai
muddat hui kuchh na dekhne ka
ankhon ko kamal aa gaya hai
main kitne hisar tod aai
jiina tha muhal aa gaya hai
Leave a Reply