kuchh had bhi ai falak sitam-e-na-rava ki hai
har saans dastan tire jaur-o-jafa ki hai
hajat-rava ki aur na zarurat dua ki hai
ab chhod charasaz jo marzi khuda ki hai
daman-e-zabt chaak to kar de junun magar
tauhin ye mire dil-e-gham-ashna ki hai
khun-e-hayat khun-e-tarab khun-e-arzu
ye sharah-e-mukhtasar miri umr-e-vafa ki hai
ghairat ne meri khud hi safina dubo diya
dekha nazar phiri hui kuchh nakhuda ki hai
barbadiyon se dars-e-baqa le rahi huun main
ye sunnat-e-kuhan shah-e-karb-o-bala ki hai
irfan-e-gham se nafs ka irfan hua nasib
sidhi ye pahli maarifat-e-kibriya ki hai
ham se khizan-nasib qafas men bhi shaad hain
laai jo bu-e-gul ye inayat saba ki hai
khuddariyon ne ziist ko asan bana diya
betabiyon ki khu hai na ah-o-baka ki hai
maana ki tujh ko aish ki jannat nasib hai
tahqir-e-gham na kar ki ye neamat khuda ki hai
is zindagi ne saath kisi ka nahin diya
kis bevafa se tujh ko tamanna vafa ki hai
kashti ko meri maujon se pahuncha nahin guzar
minnat-gudaz ye karam-e-nakhuda ki hai
‘makhfi’ panah-e-chadar-e-zehra na chhodna
taalim-e-nau suna hai ki dushman haya ki hai
Leave a Reply