sub.h safar aur shaam safar
hasti ka anjam safar
unche naam se kya hota hai
karna hai be-nam safar
suniye khizan se kya kahti hai
gul gulshan gulfam safar
chand-sitare aur hava
kis ko hai aram safar
bachiye bachiye us se bachiye
kar de jo badnam safar
gaahe kaam bigade bhi hai
gaahe aave kaam safar
khil nahin paae aur murjhae
haae re be-hangam safar
kaisa sauda sar men samaya
sal-o-mah-o-ayyam safar
shikva hai be-bal-o-pari ka
dekhiye zer-e-dam safar
tum bhi raho tayyar hi ‘tarzi’
‘ghalib’ aur ‘khayyam’ safar
Leave a Reply