Tirgi Taq Mein jaDi Hui Hai

tīrgī taaq meñ jaḌī huī hai

dhuup dahlīz par paḌī huī hai

dil pe nākāmiyoñ ke haiñ paivand

aas kī soī bhī gaḌī huī hai

mere jaisī hai merī parchhā.īñ

dhuup meñ pal ke ye baḌī huī hai

gher rakkhā hai nā-rasā.ī ne

aur ḳhvāhish vahīñ khaḌī huī hai

maiñ ne tasvīr pheñk dī hai magar

kiil dīvār meñ gaḌī huī hai

hārtā bhī nahīñ ġham-e-daurāñ

zid pe ummīd bhī aḌī huī hai

dil kisī ke ḳhayāl meñ hai gum

raat ko ḳhvāb kī paḌī huī hai

Leave a Comment