dhuup ka naam jo hai saaya to saaya hi sahi
aap kahte hain agar aisa to aisa hi sahi
ham bhi jiine ka mohabbat men tamasha kar len
zindagi jo hai tamasha to tamasha hi sahi
kyuun na ye marte hue lamhe ghanimat janun
lamhon ka aisa hi hai lasha to lasha hi sahi
ghair hi qatl kare mujh ko zaruri to nahin
mera qatil hai shanasa to shanasa hi sahi
ham ne kab ishq ko samjha hai tijarat janan
ishq tum se hai ḳhasara to ḳhasara hi sahi
pyaar to kar ke nibha luun main qasam se ‘ḳhanda’
pyaar gar vahm hai dhoka hai to dhoka hi sahi
Leave a Reply