nahin mumkin ki tire hukm se bahar main huun
ai sanam tabe-e-farman-e-muqaddar main huun
dil to hairan hai kyuun shashdar-o-muztar main huun
ishq kahta hai ki us parde ke andar main huun
pairav-e-silsila-e-zulf-e-muambar main huun
tauq se uzr na zanjir se bahar main huun
ab-ru-e-sadaf o zinat-e-gosh-e-mahbub
durr-e-nayab jo sunte ho vo gauhar main huun
ab subuk-dosh main huun bojh gale ka tal jaae
tegh-e-qatil se ilahi kahen be-sar main huun
taer-e-qibla-numa ka hai ishara mujh se
naama pahunchane ko pardar kabutar main huun
aai phir fasl-e-bahari madad ai josh-e-junun
do qadam chal nahin sakta huun vo laghar main huun
nutq kahta hai ki iisa mira dam bharta hai
dahan-e-yar ko daava hai ki kausar main huun
jaadu bar-haq hai to kafir hai ayaan ra-che-bayan
tera maara hua ai chashm-e-fusun-gar main huun
mohtasib ko bhi hidayat karun mai-noshi ki
vaiza teri jagah gar sar-e-mimbar main huun
na unhen meri shikayat na mujhe un ka gila
na kudurat unhen mujh se na mukaddar main huun
hairat-e-husn se ik sakta ka aalam dekha
aina munh ko tire takta hai shashdar main huun
daur-e-farhad gaya ye hai zamana mera
be-sutun ab to uthae hue sar par main huun
aj-kal husn-e-javani pe jo hai un ko ghurur
naaz kahta hai ki andaz se bahar main huun
barq o simab ka ‘agha’ na rahe nam-o-nishan
dil ki betabi se ik baar jo muztar main huun
Leave a Reply