• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Wafa-Shiar Ko Tu Ne Zalil-O-KHwar Kiya

Wafa-Shiar Ko Tu Ne Zalil-O-KHwar Kiya

vafa-shi.ar ko tu ne zalil-o-ḳhvar kiya

jafa-parast ye kya sheva iḳhtiyar kiya

uTha.e se na uTha dil ka parda-e-ghaflat

ḳhata hui ki un ankhon pe e.atibar kiya

nigah-e-mast-e-haqiqat to de chuki thi javab

magar ye dil hi tha phir us ne hoshiyar kiya

na vo taḌap rahi dil men na vo rahi sozish

ilaaj kya tha ye kya tu ne gham-gusar kiya

dikha ke jalva-e-batil ki ik jhalak ai husn

ḳhuda ke banda ko nahaq gunahgar kiya

kisi ke bas ka dil-e-muztarib na tha lekin

hamin ne ḳhugar-e-andoh-e-intizar kiya

ḳhayal-e-ishq ne rahmat se bhi rakha mahrum

ye kya kiya ki gunahon pe e.atibar kiya

kahe men aa ke dil-e-na-subur ke ham ne

tamam shab tire aane ka intizar kiya

tumhen to ḳhaak men milna tha mil ga.e aḳhir

jahan men shauq abas un ko sharmsar kiya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mumkin Hi Na Thi KHud Se Shanasai Yahan Tak

Gar Dua Bhi Koi Chiz Hai to Dua Ke Hawale Kiya

Dil Mein Bala-E-Ishq Ka Aazar Bhi to Ho

Log Bazar Mein Phirte Hain Zarurat Ke Baghair

syed-nazeer-hasan-sakha-dehlavi

Meri Nigah Mein Yar Main Uski Nigah Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet