paani ko aag kah ke mukar jaana chahiye
palkon pe ashk ban ke Thahar jaana chahiye
saut-o-suḳhan ke da.ere tahlil ho ga.e
qaus-e-nazar se dil men utar jaana chahiye
ehsas ki zaban ko lughat se nikal kar
ma.ani ki sarhadon se guzar jaana chahiye
duniya ki vus.aten hain ba-andaza-e-nazar
ye dekhne ka kaam hai kar jaana chahiye
tanha nazar pe kijiye kis dil se e’tibar
dil ko bhi ta-ba-hadd-e-nazar jaana chahiye
gham-ha-e-zindagi se na tha umr bhar faragh
ab kuchh to zindagi ko sanvar jaana chahiye
ja.un kahan ki ḳhud miri rahen safar men hain
rahen safar men hon to kidhar jaana chahiye
zanjir-e-makan hai jahan husn-e-la-makan
us anjuman men bar-e-digar jaana chahiye
zamzam harim-ka.aba men hai mamta ka dil
hai shart-e-zist Duub ke mar jaana chahiye
jaan ho agar mata-e-talab se aziz-tar
parvanon ko charagh se Dar jaana chahiye
yaaro suna hai aap men gum ho gaya ‘zafar’
is ḳhanuman-ḳharab ke ghar jaana chahiye
Leave a Reply