• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Nafraton Ka Sulagta Alaw Kaisa Hai

Ye Nafraton Ka Sulagta Alaw Kaisa Hai

ye nafraton ka sulagta alaav kaisa hai

ye karvan-e-sahar ka paḌav kaisa hai

lahuluhan hai peshani-e-saba kyunkar

badan pe ahl-e-gulistan ke ghaav kaisa hai

mohabbaton ki ravish men bapa hai raqs-e-sharar

ye shahr-e-ishq vafa men tanav kaisa hai

mata-e-dard ki hai apna mushtarak virsa

miyan-e-ham-nafasan bhed-bhav kaisa hai

simaT rahe hain ujale ufuq ki banhon men

andheri raat ka ye chal-chalav kaisa hai

na ḳhauf-e-kam-nigahi hai na ḳhadsha-e-shab-ḳhun

shu.ur-e-jihat se aari bahav kaisa hai

salib-o-dar ke mausam pe guftugu na sahi

dayar-e-husn ka ab rakh-rakhav kaisa hai

jabin-e-fikr pe zaḳhmon ki kaifiyat kya hai

hujum-e-shauq ka aalam batao kaisa hai

‘shamim’ qimat-e-jins-e-hayat kya Thahri

lahu ka shahr-e-nigaran men bhaav kaisa hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nikharna Aql-O-KHirad Ka Agar Zaruri Hai

sabiha-saba

Ye Sail-E-Ashk Mujhe Guftugu Ki Tab To de

poet

Go Shama Hun Pa Mahfil-E-Jaanan Se dur Hun

poet

Bin dekhe Uske Jawe Ranj O Azab Kyun Kar

Bistar Par Bechain Nirasha Ke silwaT silwaT Jage

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet