dev-qamat bana hua ghumun
apne qad ko magar chhupa na sakun
vo bhi pahchanta nahin hai mujhe
main bhi apni nazar ko jhuTla duun
haT gaya huun madar se apne
ab main yuun hi ḳhala men phirta huun
television pe ek chehra hai
kam se kam us ko dekh sakta huun
kab se sukhi paḌi hai ye dharti
main kisi ke lahu ka pyasa huun
uḌte phirte hain har jagah haTiyal
koi farhad hai na ab majnun
puchhti hain bhari-puri saḌken
kaun hai jis ke saath main ghumun
Leave a Reply