• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh to KHudi Ka Rang Hai Kuchh Be-KHudi Ka Rang

Kuchh to KHudi Ka Rang Hai Kuchh Be-KHudi Ka Rang

kuchh to ḳhudi ka rang hai kuchh be-ḳhudi ka rang

donon ka imtizaj hai ye zindagi ka rang

pesh-e-nigah mere hazaron hi rang the

dil ne kiya pasand magar aap hi ka rang

ye hai fareb-e-chashm ki ye dil ka vahima

har gul men dekhti huun gul-e-kaghzi ka rang

us ko bhula.e garche zamana guzar gaya

aata hai yaad aaj bhi mujh ko usi ka rang

rangin hai jis ke dam se miri ka.enat-e-dil

vo hai jamal-e-yar ki tabindagi ka rang

aahen bharega kab koi phulon ko dekh kar

aa.ega kab kisi men bhala dilbari ka rang

is men hai rang tere ruḳh-e-be-misal ka

sab se juda ho kyuun na miri sha.iri ka rang

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahsan-marahravi

Tumhaari Lan-Tarani Ke Karishme dekhe-Bhaale Hain

Dil Mein zaKHmon Ki Nai Fasl Ugane Nikle

KHwab Mein Dekh Raha Hun Ki Haqiqat Mein Use

Narm Lahje Mein Tahammul Se Zara Baat Karo

ada-jafarey

Kahte Hain Ki Ab Humse Khata-Kar Bahut Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet