andhi hai tez dhuul se ghar aur aT na jaa.e
TuuTe kivaḌ band karo dam ulaT na jaa.e
be-samt zindagi ka safar ban ki raat hai
nagin sa vaqt Das ke achanak palaT na jaa.e
ujḌa hua makan hai dastak na dijiye
saaya koi kahin se nikal kar lipaT na jaa.e
chhoTa sa ghar sahi use rakhiye sambhal ke
mulkon ki qismaton ki tarah ye bhi baT na jaa.e
shishe ke ghar men soch ke rakhiye ‘zafar’ qadam
sang-e-sada ki chuuk se divar phaT na jaa.e
Leave a Reply