apnon se muravvat ka taqaza nahin karte
sahraon men saa.e ki tamanna nahin karte
majnun pe na kar rashk ki jo ahl-e-vafa hain
mar jaate hain ma.ashuq ko rusva nahin karte
Tuk dekh liya ankhon hi ankhon men hanse bhi
par yuun to ilaj-e-dil-e-shaida nahin karte
kya ho gaya is shahr ke logon ke dilon ko
ḳhanjar bhi utar jaa.e to dhaḌka nahin karte
barish ki talab hai to samundar ki taraf ja
ye abr to sahraon pe barsa nahin karte
do din ki jo baaqi hai tahammul se basar kar
jo hona hai ho ja.ega socha nahin karte
pachhtave se baḌh kar koi azar nahin hai
jab dil ko lagate hain to roya nahin karte
mayusi ki ne.amat baḌi mushkil se mili hai
phir aas bandhate ho tum achchha nahin karte
jo kuchh kahe ‘shohrat’ ki ghazal maan lo us ko
dil ko kabhi sha.er ke dukhaya nahin karte
Leave a Reply