• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Yahan Hazir Hai Wo Misl-E-Guman Maujud Hai

Jo Yahan Hazir Hai Wo Misl-E-Guman Maujud Hai

jo yahan hazir hai vo misl-e-guman maujud hai

aur jo gha.eb hai us ki dastan maujud hai

ai ghubar-e-ḳhvahish-e-yak-umr apni raah le

is gali men tujh se pahle ik jahan maujud hai

ab kisi amboh-e-gum-gashta ki janib ho safar

aur koi chupke se kah de tu kahan maujud hai

shayad aa pahuncha hai ahd-e-intizar-e-guftugu

chaar janib ḳhilqat-e-lab-bastagan maujud hai

raat phir ankhon se bah nikli tamanna-e-visal

aisa lagta tha ki tu bhi darmiyan maujud hai

pahle thi ik tishnagi mahrumiyon se ham-kanar

ab ragon men nashsha-e-umr-e-ravan maujud hai

azm ḳhud ko karvan-e-nafa men shamil na kar

tere shanon par abhi bar-e-ziyan maujud hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yar Ko Dida-E-KHun-Bar Se Ojhal Kar Ke

Chilchilati Dhup Manzil Dur Tanha Raste

Wo lapeT Kar Nikli Tauliye Mein Baal Apne

akhtar-shirani

Gham-E-Zamana Nahin Ek Azab Hai Saqi

ada-jafarey

Tum Jo Siyane Ho Gun Wale Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet