tu ne mahjur kar diya ham ko
sakht ranjur kar diya ham ko
apni barq-e-nigah se tum ne
shajar-e-tur kar diya ham ko
dil bana ashiqi men khud-mukhtar
aur majbur kar diya ham ko
aisi tarif ki ki ai vaaiz
ashiq-e-hur kar diya ham ko
gham nahin mohtasib jo tod ke khum
nashshe ne chuur kar diya ham ko
jis qadar ham se tum hue nazdik
us qadar duur kar diya ham ko
kabhi bar-e-gham-e-firaq utaar
tu ne mazdur kar diya ham ko
ho gaya mai se nasha-e-irfan
naar ne nuur kar diya ham ko
the to maqhur hone ke laaeq
baare maghfur kar diya ham ko
Leave a Reply