main shahid-e-naz huun maskan mira madfan hua
aqibat mera kafan mera hi pairahan hua
martaba yaan past ka baala pas-e-murdan hua
sang-e-pa aḳhir mira sang-e-sar-e-madfan hua
hai asiri arzu-e-ḳhilqat-e-divangi
tauq-e-gardan mujh ko mera halqa-e-daman hua
af.i kakul nazar aate hain lahrate hue
kya dil-e-viran hamara kevḌe ka ban hua
hai dalil-e-rahnuma.i tira-baḳhti bad-e-marg
mash.al-e-rah-e-fana dagh-e-dil-e-raushan hua
Leave a Reply