sub.h kanTon pe shaam kanTon par
umr guzri tamam kanTon par
mire apne qalam ne chupke se
likh diya mera naam kanTon par
teri kirnen bhi raqs karti hain
roz mah-e-tamam kanTon par
rang aur bu-e-gul ke ashiq sab
kaun bheje salam kanTon par
roz shabnam se ghusl karte hain
hai gulon ka hamam kanTon par
ibtida-e-hayat phulon se
aur hai iḳhtitam kanTon par
aisi masti ki titliyan bhaunre
ho ga.e ham-kalam kanTon par
husn ki har ada gulon par hai
ishq ka ehtisham kanTon par
shaḳh-e-gul par qafas hai ‘panchhi’ ka
aur shirin ta.aam kanTon par
Leave a Reply