dil ke jazbon ka lahu qatl-e-ana Thiik nahin
us ki har baat pe taslim-o-raza Thiik nahin
saans men jalte makanon ka dhuan aata hai
ai mire shahar tiri ab-o-hava Thiik nahin
gar kisi lau se fasadon ka dhuan uThta ho
raushni-baḳhsh sahi aisa diya Thiik nahin
lazzat-e-dard se jab milne lage rizq-e-hayat
tab koi charagari fikr-e-dava Thiik nahin
dukh suna kar ke bhi kya paoge aḳhir ‘meraj’
sabhi apne hain aur apnon se gila Thiik nahin
Leave a Reply