baḌe ḳhulus se daman pasarta hai koi
ḳhuda ko jaise zamin par utarta hai koi
na puchh kya tire milne ki aas hoti hai
kahan guzarti hai kaise guzarta hai koi
baja hai shart-e-vafa shart-e-zindagi bhi to ho
bacha sake to bacha le ki harta hai koi
vo kaun shaḳhs hai kya naam hai ḳhuda jaane
andheri raat hai kis ko pukarta hai koi
tamam ishq ki jagir ho ga.i duniya
tiri nigah pe duniya ko varta hai koi
charagh rakh ke sar-e-sham dil ke ziine par
mujhe ḳhabar nahin hoti sudharta hai koi
ye sar ka bojh nahin dil ka bojh hai ai ‘shaz’
kahan utarta hai lekin utarta hai koi
Leave a Reply