vo daur-e-nashat-o-dida-o-dil jaise bas abhi guzra hi to hai
siine ki kasak kis tarah miTe har dagh-e-kuhan taaza hi to hai
tu saath kahan lekin ab tak har rahguzar-e-tanha.i par
jo aage aage chalta hai ai dost koi tujh sa hi to hai
is ta.ir-e-avara ke liye yuun jaal na bun ummidon ke
uḌta hua lamha jaise abhi roke se tire rukta hi to hai
malum nahin kis vaqt ye kya bartav kisi se karti hai
duniya se koi ummid na rakh mayus na ho duniya hi to hai
kirnen na.e din ke suraj ki phailengi to gum ho ja.ega
tarik hai jis se dil ka ufuq guzri shab ka saaya hi to hai
lamhon ke hujum-e-gurezan men ik lamha jise apna kahiye
jaan de ke bhi haath aa jaa.e agar mahnga kab hai sasta hi to hai
‘maḳhmur’ ta.aqub kar dekho kuchh duur nahin haath aa jaa.e
ik gum-shuda ḳhushbu ka jhonka angan se abhi guzra hi to hai
Leave a Reply