paḌta tha is ḳhayal ka saaya yahin kahin
bahta tha mere ḳhvab ka dariya yahin kahin
jaane kahan hai aaj magar pichhli dhuup men
dekha tha ek abr ka TukḌa yahin kahin
dekho yahin pe hongi tamanna ki kirchiyan
TuuTa tha e’tibar ka shisha yahin kahin
kankar uTha ke dekh raha huun ki ek din
rakkha tha main ne dil ka nagina yahin kahin
ik roz be-ḳhayali men barbad ho ga.i
abad thi ḳhayal ki duniya yahin kahin
Leave a Reply