mar jaenge pindar ka sauda na karenge
aisa na karenge kabhi aisa na karenge
vo zakhm bhi pahunchaen karen charagari bhi
ye bhuul kabhi mere masiha na karenge
phutegi sahar dida-e-giryan se hamare
khun-rez tabassum ka ujala na karenge
aaega zaban par na kabhi harf-e-shikayat
ham zikr ghazal men bhi tumhara na karenge
shabnam ki sifat shoala-mizajon ko nahin den
ye us ki nazakat ko gavara na karenge
jaenge sar-e-dar bhi ehram hi bandhe
ham sheva-e-haq-goi ko rusva na karenge
ham zakhmon ki shiddat ko bayan kar ke bhi ‘tarzi’
qatil hi ka khud apne qad uncha na karenge
Leave a Reply