ankhon ko ik khvab dikhaya ja sakta hai
qissa yusuf ka dohraya ja sakta hai
saari duniya ko thukraya ja sakta hai
husn-o-ishq dua se paaya ja sakta hai
jo mujh men ho zulekha tujh men yusuf koi
umron ka sarmaya laaya ja sakta hai
us ko kahna miri ankhon ke kaase men
diid ka ik sikka to dikhaya ja sakta hai
nadan itna mat samjho tum dil ko ‘amabar’
kab yadon se ise bahlaya ja sakta hai
Leave a Reply