ik chand tirgi men samar raushni ka tha
phir bhed khul gaya vo bhanvar raushni ka tha
suraj pe tu ne aankh tareri thi yaad kar
bina.iyon pe phir jo asar raushni ka tha
sab chandni kisi ki inayat thi chand par
us daghdar show pe kavar raushni ka tha
maghrib ki mad-bhari hui raton men kho gaya
is ghar men koi laḳht-e-jigar raushni ka tha
dariya men us ne Duub ke kar li hai ḳhud-kushi
jis shai ka asman pe safar raushni ka tha
zarre ko aftab banaya tha ham ne aur
dharti pe qahr sham-o-sahar raushni ka tha
Leave a Reply