puchh mat kal aine men kya hua
apne zinda hone ka dhoka hua
roz suraj dubta ugta hua
vaqt ki ik kiil par latka hua
aa gaya le kar udhari raushni
chand ne suraj ko hai pahna hua
tishnagi apni bujhaen kaise ham
jo samundar tha vo ab sahra hua
shahr se jab bhi ye dil ukta gaya
dasht ki janib mira jaana hua
khubiyan meri koi ginta nahin
ik zara si bhuul ka charcha hua
aa gai huun duur chalte chalte main
asman par hai vahin thahra hua
yaad us ki dil se kyuun jaati nahin
vo to ‘sima’ kal tha ik guzra hua
Leave a Reply