main jidhar ja.un mira ḳhvab nazar aata hai
ab ta.aqub men vo mahtab nazar aata hai
gunjti rahti hain sahil ki sada.en mujh men
aur samundar mujhe betab nazar aata hai
itna mushkil bhi nahin yaar ye maujon ka safar
har taraf kyuun tujhe girdab nazar aata hai
kyuun hirasan hai zara dekh to gahra.i men
kuchh chamakta sa tah-e-ab nazar aata hai
main to tapta hua sahra huun mujhe ḳhvabon men
be-sabab ḳhitta-e-shadab nazar aata hai
raah chalte hue bechari tahi-dasti ko
sang bhi gauhar-e-nayab nazar aata hai
ye na.e daur ka bazar hai ‘alam’-sahib
is jagah TaaT bhi kam-ḳhvab nazar aata hai
Leave a Reply