hamare saath umid-e-bahar tum bhi karo
is intizar ke dariya ko paar tum bhi karo
hava ka ruḳh to kisi pal badal bhi sakta hai
us ek pal ka zara intizar tum bhi karo
main ek jugnu andhera miTane nikla huun
rida-e-tira-shabi taar taar tum bhi karo
tumhara chehra tumhen hu-ba-hu dikha.unga
main aa.ina huun mira e’tibar tum bhi karo
zara si baat pe kya kya na kho diya main ne
jo tum ne khoya hai us ka shumar tum bhi karo
miri ana to takalluf men paash paash hui
dua-e-ḳhair mire haq men yaar tum bhi karo
agar main haath mila.un to ye zaruri hai
ki saaf siine ka apne ghubar tum bhi karo
koi zaruri nahin hai ki sab ki tarah ‘faragh’
zamane vaali ravish iḳhtiyar tum bhi karo
Leave a Reply