• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Hum donon Mein Se Ek

Hum donon Mein Se Ek

tanveer-anjum

ham bahut thode log hain

vo bahut zyada

ham la-parvah hain khud apni zaat se

hamen ek dusre ke mafadat ki kya fikr

vo aapas men shir-o-shakar hain

aur hamen kamzor rakhne ke liye

saz-baz karte rahte hain

un ki taadad badhti ja rahi hai

jon jon hamare log

hamen chhod kar

un ke paas ja rahe hain

ham kisi ko nahin rokte

balki koi ek qadam bhi aage badhae

to farz kar lete hain

ki vo un ki janib badh raha hai

vo muntazir dekhte rahte hain

kab koi hamare daere se thoda sa bahar nikle

aur vo use rijha kar apne saath mila len

un ke paas gae logon men

ho sakta hai ab koi afsos karta ho

aur vapas aana chahe

magar ham us ki parvah bahut kam karte hain

aur ye mumkin bhi nahin hai

kyunki

un ke saath vaqt zaae karne valon ke paas

hamare liye vaqt bach nahin sakta

vo intizar men hain

bas ham men se ek akhiri bach jaae

to vo use patthar maar kar halak kar dalen

ham ek dusre ko dekh rahe hain

aur dar rahe hain

kya ham donon men se koi

dusre ko patthar marega!

Filed Under: Nazm Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Yaksu Bhi Lag Raha Hun Bikharne Ke Bawajud

meer-taqi-meer

Ab Haal Apna Uske Hai dil-Khwah

Dhup Ke Zard Jaziron Mein Numu Zinda Hai

Mata-O-Mal-E-Hawas Hubb-E-Al Samne Hai

Mar Jaane Ki Us Dil Mein Tamanna Bhi Nahin Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet