bagule rahnuma hain bad-e-sahra.i safar men hai
ruken kaise hamare saath rusva.i safar men hai
ḳhabar bhi to nahin hai ab kidhar ko ja rahe hain ham
sarabon ka safar hai abla-pa.i safar men hai
ye basti hai ki zindan kuchh bhi to palle nahin paḌta
the kab pachhua ke din aur kab se purva.i safar men hai
kahan se aa.iin kanon ke liye rim-jhim si avazen
jaras ik lafz-e-parina hai shahna.i safar men hai
azal se ta-abad hai kar-farma gardish-e-dauran
ki nadani hazar men aur dana.i safar men hai
use sadiyan lagengi niind se bedar hone men
abhi aghaz ka mausam hai angḌa.i safar men hai
koi aahaT banati hi nahin ummid ka mausam
kuchh aisi chup lagi hai jaise goya.i safar men hai
akele-pan ka ‘azmi’ ho bhi to ehsas kaise ho
tasalsul se hamari sham-e-tanha.i safar men hai
Leave a Reply