chilchilati dhuup ne ghussa utara har jagah
chaḌh gaya uncha.i par zehnon ka paara har jagah
is zamin par ham jahan bhi hain vahan taraj hain
aj-kal gardish men hai apna sitara har jagah
apni kya ginti farishte bhi vahan maare ga.e
ḳhvahishon ne menka ka ruup dhara har jagah
maang leti hai hava achchhe mavaqe dekh kar
ik na ik muTThi men rahta hai sharara har jagah
gharq tufanon men kar do ya bhanvar men Daal do
himmaton ke haath chhute hain kinara har jagah
tum nahin badle maha-bharat ke andhe badshah
har jagah sabit the ham tum ne nakara har jagah
Leave a Reply