hameñ patā bhī nahīñ kis kī vo kahānī thī
vo is qadar thī na.ī ki bahut purānī thī
kabhī jo dekh liyā us ko dekhte hī rahe
vo apne aap meñ Thahrī huī ravānī thī
tumhārī yaad kā rakkhā hai canvas varna
hamāre ḳhvāb ne sūrat na.ī banānī thī
tumhāre paas to qisse kahāniyāñ haiñ bahut
kabhī jo ham ne kahī bhī nahīñ sunānī thī
ye rishte naate faqat bojh thā ki Dhone the
vafā bhī sochiye aise hī bas nibhānī thī
vahīñ pe ḳhaak se milnā thā ḳhaak honā thā
usī ke shahr meñ shohrat agar kamānī thī
vo roz roz kā marnā kamāl thā lekin
ye zindagī to mirī jaan āzmānī thī