ma.asum ḳhvahishon ki pashimaniyon men tha
jiine ka lutf to inhin nadaniyon men tha
anhken bichhate har kas-o-nakas ki raah men
yuun jazba-e-ḳhulus faravaniyon men tha
naddi men pahron jhankte rahte the pul se ham
kya bhed tha jo bahte hue paniyon men tha
patthar bane khaḌe the tajassus ke dasht men
dil gum tilism-e-shauq ki hairaniyon men tha
yuun reng reng kar na guzarte the roz o shab
dariya-e-zist bhi kabhi jaulaniyon men tha
sanjidgi ki gahri lakiron men Dhal gaya
ma.asumiyat ka nuur jo peshaniyon men tha
ik ghar bana ke kitne jhamelon men phans ga.e
kitna sukun be-sar-o-samaniyon men tha
din aarzu ke yunhi udasi men kaT ga.e
vo apne dukh men apni pareshaniyon men tha
us ke liye bhi zindagi pal pal azaab thi
vo bhi sulagte vaqt ke zindaniyon men tha
vo zabt o e’tidal o tavazun kahan ‘riyaz’
meyar-e-fan ki jo kabhi yunaniyon men tha
Leave a Reply