yunhi kaTe na rahguzar-e-muḳhtasar kahin
paḌte hain paa.e shauq kahin aur nazar kahin
mauhum-o-muḳhtasar sahi pesh-e-nazar to hai
dekha kisi ne ḳhvab ye bar-e-digar kahin
ma.il-ba-justuju hain abhi ahl-e-ishtiyaq
duniya.en aur bhi hain vara-e-nazar kahin
baaqi abhi qafas men hai ahl-e-qafas ki yaad
bikhre paḌe hain baal kahin aur par kahin
ab ham hain aur tilism-e-tamanna ki vus.aten
DhunDe se bhi na mil saki rah-e-mafar kahin
har fasla hai jalva-gah-e-mauj-e-ittisal
ya.ani jabin-e-shauq kahin sang-e-dar kahin
sadiyon ka iztirab ‘tamanna.i’ saunp duun
mil jaa.e koi lamha-e-fursat agar kahin
Leave a Reply