ghubar-e-shab zara is amr ki khabar karna
kahan se hai mujhe ab hijr ka safar karna
ye mauj-e-bad-e-zamana hai be-lihaz bahut
tum apne apne charaghon pe ik nazar karna
raha na us ko agar mujh pe e’timad to phir
kisi havale se kya khud ko mo’atabar karna
duaen de ke hi karna hai ab use rukhsat
phir apne saath jo hona hai darguzar karna
vahan vahan miri nindon ko jagta paana
jahan jahan mire hisse ki shab basar karna
hai ik khayal makin kab se khana-e-dil men
zara si baat pe kya is ko dar-ba-dar karna
vo de raha tha mujhe aaj be-ghari ki dua
to yaad aaya bahut us ka dil men ghar karna
ki mangna mira chehra jo shahr-e-be-chehra
tu apne vusat-e-daman pe ik nazar karna
Leave a Reply