ye gham phir se ubharta ja raha hai
mujhe hairan karta ja raha hai
suna me.ayar girta ja raha hai
magar banda nikharta ja raha hai
mujhe ye kya hua hai kuchh dinon se
tira ehsas marta ja raha hai
amaan is ḳhvab ko bhi kya kahen ab
bikharna tha bikharta ja raha hai
tira ḳhamoshiyon ko vaqt dena
sadaon ko akharta ja raha hai
hamin ne hi use rasta diya tha
hamin pe paanv dharta ja raha hai
purani dekh kar tasvir teri
naya har din guzarta ja raha hai
main jitni aur piita ja raha huun
nasha utna utarta ja raha hai
suna hai ‘mit’ ḳhvabon se nikal kar
vo ankhon men Thaharta ja raha hai
Leave a Reply