jaam de aur na kar vaqt pe takrar ki bas
saqiya abr utha hai ye dhuan-dhar ki bas
kya tamasha hai jo kal raat vo laae tashrif
be-khudi ne ye liya aan ke yakbar ki bas
kyuun na dil aise ko duun main ne kal un se jo kaha
dard hota hai mire dil men ye ai yaar ki bas
sunte hi ho ki ham aghosh kaha hans ke tujhe
dard-e-dil ki hai dava aur bhi darkar ki bas
rashk se kyuun na jale mehr-e-darakhshan ‘maruf’
hai mire yaar ki ye garmi-e-bazar ki bas
Leave a Reply