nahin hai ab koi rasta nahin hai
koi juz aap ke apna nahin hai
har ik raste ka patthar puchhta hai
tujhe kya kuchh bhi ab dikhta nahin hai
ajab hai raushni tarikiyon si
ki main huun aur mira saaya nahin hai
parastish ki hai meri dhaḌkanon ne
tujhe main ne faqat chaha nahin hai
main shayad tere dukh men mar gaya huun
ki ab siine men kuchh dukhta nahin hai
luTa di maut bhi qadmon pe tere
bacha kar tujh se kuchh rakkha nahin hai
qayamat hai yahi idrak-e-janan
main us ka huun ki jo mera nahin hai
miri baten hain sab baten tumhari
mira apna koi qissa nahin hai
tujhe mahsus bhi main kar na pa.un
andhera hai magar itna nahin hai
ba-juz ‘nitu’ ki yaden ab jahan men
koi ‘shahzad’-ji tera nahin hai
Leave a Reply