bas usi ka safar-e-shab men talabgar hai kya
tu hi ai maah mira hamdam o gham-ḳhvar hai kya
tesha-dar-dast umanD aa.i hai abadi tamam
sab yahi kahte hain dekhen pas-e-divar hai kya
haan isi lamhe men hota hai sitaron ka nuzul
shahr-e-ḳhvabida men koi dil-e-bedar hai kya
jism to jism hai majruh hui hai jaan bhi
apnon ke hote hue shikva-e-aghyar hai kya
tharthari patton pe hai dard-ba-jan hain kaliyan
tu bhi ai bad-e-sahar darpia.e-azar hai kya
lab hilane ki sakat hai na qadam uThte hain
samne jo bhi hai daldal men giraftar hai kya
Leave a Reply