
Inam Sharar Ayyubi
ḳhirad se hosh se begana kar diya hai mujhe
tire jamal ne divana kar diya hai mujhe
mira nasib miri justuju karam us ka
talab se pahle ata daana kar diya hai mujhe
main fitratan bahut azad tha magar us ne
asir-e-bam-o-dar-e-ḳhana kar diya hai mujhe
hamesha ḳhud raha qaa.em haqiqaten ban kar
main band Thahra so afsana kar diya hai mujhe
‘sharar’ bana diya shabnam men parvarish kar ke
jo us ne chaha to kya kya na kar hai mujhe

Leave a Reply