ujala ku-ba-ku hai aur kya hai
mere hamrah tu hai aur kya hai
tire ehsas ki dastak hamesha
ḳhayalon par rafu hai aur kya hai
ye ḳhamoshi achanak lag ga.i jo
musalsal guftugu hai aur kya hai
agarche duur ho nazdik ho par
kamal-e-arzu hai aur kya hai
vahan bas men nahin huun aur sab hai
yahan bas tu hi tu hai aur kya hai
ab is se aur ziyada kya bana.en
tumhari justuju hai aur kya hai
Leave a Reply