nahin ye fikr koi rahbar-e-kamil nahin milta
koi duniya men manus-e-mizaj-e-dil nahin milta
kabhi sahil pe rah kar shauq tufanon se takraen
kabhi tufan men rah kar fikr hai sahil nahin milta
ye aana koi aana hai ki bas rasman chale aae
ye milna khaak milna hai ki dil se dil nahin milta
shikasta-pa ko muzhda khastagan-e-rah ko muzhda
ki rahbar ko suragh-e-jada-e-manzil nahin milta
vahan kitnon ko takht o taaj ka arman hai kya kahiye
jahan saail ko aksar kasa-e-sail nahin milta
ye qatl-e-am aur be-izn qatl-e-am kya kahiye
ye bismil kaise bismil hain jinhen qatil nahin milta
Leave a Reply