ham hain aur shughl-e-ishq-bazi hai
kya haqiqi hai kya majazi hai
dukhtar-e-raz nikal ke miina se
karti kya kya zaban-darazi hai
khat ko kya dekhte ho aaine men
husn ki ye ada-tarazi hai
hindu-e-chashm taq-e-abru men
kya bana aan kar namazi hai
nazr den nafs-kush ko duniya-dar
vaah kya teri be-niyazi hai
but-e-tannaz ham se ho na-saz
karsazon ki karsazi hai
sach kaha hai kisi ne ye ai ‘zauq’
mal-e-muzi nasib-e-ghazi hai
Leave a Reply